Koi Ghazal suna kar kiya karna,

Koi Ghazal suna kar kiyaa karnaa,
yoon baat barhaa kar kiyaa karnaa,
tum meray thy tum meray ho,
duniyaa ko bataa kar kiyaa karnaa,
Tum Ehed nibhaao chaahat sey,
koi rasm nibhaa kar kiyaa karnaa,
Tum khafaa bhi achay lagty ho,
Phir tum ko Manaa kar kiyaa karnaa,
Teray dar pe aa kar baithy hain,
Ab ghar  jaa kar kiyaa karnaa,
Din yaad sey achaa guzray gaa,
Phir tum ko bhulaa kar kiya karnaa�


Next
Previous
Click here for Comments

0 comments: